Humne kaha ki duniya jeet jayenge agar tum haath thaam lo,
hume kahan elm tha ki pairon main zanjeer lipat jayegi
chahte the udna panchiyon ki tarah gagan main,
tumne dor baandh kar patang kar diya
socha tha ki har bandhan khul jayega,
pata na tha ki uska bhi ek dayara hai
kabhi sochte hain ki tum badal jaoge,
ya phir hum hi badal jayenge
bus yeh nahi soch paate ki, dono akhir kya ho jayenge